Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
to tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.
Mohobbat ka imtihan aasan nahi;
pyar sirf pane ka naam nahi.
Muddatein beet jati hain kisi ke intezaar mein,
ye sirf pal-do-pal ka kaam nahi.
Teri berukhi ko bhi rutba diya humne.
Pyar ka har farz ada kiya humne.
Mat soch ke hum bhool gaye hain tujhe;
aaj bhi khuda se pehle tujhe yaad kiya humne.
Tanhai bhari zindagi ka safar mila;
na saathi, na humsafar mila.
Hum diya jalta chhod gaye the unke liye;
jab vapis lote to jalta hua ghar mila.
Na jaane tum pe itna yakin kyon hai?
Tera khayal bhi itna haseen kyon hai?
Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai;
to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai?
Sabhi ko sabh kuch nahi milta,
nadi ki har lehar ko sahil nahi milta,
yeh dil walon ki dunia hai dost,
kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta.
Mohabbat mein laakhon zakham khaye humne,
afsos unhe hum par aitbar nahi,
mat pucho kya gujarti hai dil par,
jab vo kehte hai hame tumse pyar nahi..
Hasta huya dekh kar log kehte hain
ke hum gam se khali hain,
par unhe kya pata ke jo gam ke baag hain,
hum us baag ke mali hain..
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi,
Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi,
isi bahane humein choo kar chala gaya koi,
tanhayi aur andhere mein khush they hum,
lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
Dil to unke seene mein bhi machalta hoga..
husn bhi so-so rang badalta hoga..
Uthti hongi jab nagahein unki..
Khud "khuda" bhi gir-gir ke sambhalta hoga..
Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda,
zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda,
vaada kiya sitaron ne saath dene ka,
subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain,
meri har aah har dard samajhti hain.
Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi,
phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
bhool aaye hum apni takdeeren kahin.
Agar mile tumko kahin to utha lena,
mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.
Bolti hai dosti, chup rehta hai pyar.
Hasati hai dosti, rulata hai pyar.
Milati hai dosti, juda karta hai pyar.
Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar??
Unki tasveer ko seene se laga lete hain,
iss tarah judai ka gham mitaa lete hain.
Kisi tarah zikar ho jaye unka,
to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Bheeg jaati hain palkein tanhayi mein,
darte hain koi jaan na le.
Pasand karte hain tez barsaat mein chalna,
kahi rote hue ko koi pehchaan na le.
Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain,
hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain.
Teri dosti ke saaye mein zinda hain,
hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain.
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gam nahi,
Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi.
Aaj didar, kal yaar, parson pyaar,
phir ekrar, phir intezar, phir takrar,
Phir darar, sari mehnat bekar,
aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar.
Bazu-o-mein dum rakhta hun, Dil mein gum rakhta hun,
Pata tha SMS ayega tera, Isliye DISPRIN sang rakhta hun.
Hum dua karte hain Khuda se,
ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas,
kahin wo bhi common na ho jaye!
Tere DIL mein rahenge SMS bankar,
Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar,
Kabhi apne DIL se juda mut Samajana,
Hum tere saath chalenge NETWORK ban.
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....
Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.
Manzil unhi ko milti hai,
Jinke sapno me jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota,
Hauslon se udaan hoti hai.
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,
Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!
Ek ada aapke dil churane ki,
ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur ek zid hamari chand pane ki
Chand lamhon ki zindagani hai,
nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi,
dost to aab yaad kiya nahi karte